HomeEducationMukammal Taaruf Surah Yaseen: Fazilat, Faide Aur Ahmiyat

Mukammal Taaruf Surah Yaseen: Fazilat, Faide Aur Ahmiyat

-

Surah Yaseen Ka Mukammal Taaruf

Surah Yaseen 22wa  pare ke aakhir me shuru hoti hai aur 23 pare ke shuru me khatam hoti hai. Surah yaseen makka me nazil hua tha ye ek makki surah  hai. iss surah ke andar 5 ruku aur 83 ayatein hai.ye fazilat ke aitbar se bohot fazilat wali surah hai.

Surah Yaseen Kab Padhe Kab Nahi

Surah yaseen apne mauta ke pass padhna chahiye jab kisi ke jism se uski ruh nikal raha ho. Tab uske samne surah yaseen padhni chahiye na ki marne ke bad . isme mauta iss liye kaha gaya hai kyunki wo insan ab sakarat ki halat me ho jata hai . ya usne farishte ko dekh liya to ta wo bachta nahi hai . ham talkin ke liye taki wo allah subhan o tala ko yaad kare .Allah subhan o taala ka zikr kare .toh uske aage surah yaseen padhe . agar mauta ko marne me taklif ho rhi ho ya sakrat lambi ja rhi ho to hame surah yaseen  padhni chahiye lekin iska ye bilkul matlab nhi hai ki ham dafnate waqt ya dafnane ke bad ya jab bhi kabar par jaye tab padhe .

Surah Yaseen Ki Tafseer Se Sabak

Surah yaseen padne se gunnaho ki magfirat hoti haai aur tauba kabool hoti hai .aur agar hum surah yaseen padhte hai to bimar ki bimari se usko shifa milti hai . aur isko padhne se rozgar me aur rizk me barkat hoti hai . nabi sallahu alehi wasallam ne irshad farmaya  ki jo shakas  yaseen ko subha sham surah yaseen ki tilawat kare uske sare kaam pure ho jayenge [ ye hadees zaeef hai sanad ke hisab se ] magar iss aamal ko karne me koi harj nahi hai .

 Yaseen Ki Tilawat: Sawab Aur Barkat

Bohat si rivayat mein aata hai ke is surat ko apne marne walon ke paas parho. Marne walon ke paas parhne ki isliye hidayat farmayi gayi hai ke marne wale par tamam Islami aqeedah tazah ho jaye. Musnad Darimi se rivayat hai, Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya, “Jis ne subah Surah Yaseen ki tilawat ki, uske saare kaam poore ho jayenge.” (Yeh hadith zaeef hai sanad ke hisaab se), lekin is amal ko karne mein koi harj nahi hai. Surah Yaseen ki rozana tilawat karne se insaan ki roohani aur jismani bimariyon se shifa milti hai. Surah Yaseen ko parhkar apne gunahon ki maafi maangne se Allah ki maghfirat bhi mil sakti hai. Surah Yaseen ki tilawat karne se shaitan mardood se nijaat milti hai. Jaise Surah Qadr mein ibadat ki raat ki fazilat bayan ki gayi hai, waisa hi Surah Yaseen mein bhi barkat aur rehmat ka zariya hai.

Conclusion

 Surah yaseen ki fazilat aur ahmiyat hadees ki roshni mein bahot zyada hai . ye surah na sirf rohani aur jismani bimariyon se shifa ka zariya hai ; balki iski tilwat se allah ki magfirat bhi hasil hoti hai .surah yaseen ko padhne se insan ke gunnah maff hota hai . surah yaseen ko padhne se rizq mein barkat hoti hai ,aur duniya aur akhirat ke dukh door hote hai . nabi sallallahu alaihi wasallam ne iss surah ko apne marne walo ke pass padne ki hidayat di hai . taaki unke liye islami aqeedah tazah ho jaye . yeh surah apne tilawat walon ki hifazat karti hai aur unki zaroorato ko pura karti hai.

Most Popular